Kitna Pyaar Hai

Us Ne Kaha K Mujh Se Tumhein Kitna Pyaar Hai
Main Ne Kaha Sitaaron Ka Koi Shumaar Hai

Us Ne Kaha K Kon Tumhein Hai Bohat Aziz
Main Ne Kaha K Dil Pe Jise Ikhtyaar Hai

Us Ne Kaha K Konsa Tohfa Hai Man-Pasand
Main ne Kaha: Wo Shaam, Jo Ab Tak Udhaar Hai

Us Ne Kaha: Khizaan Mein Mulaaqaat ka Jawaaz? 
Main Ne Kaha K Qurb Ka Matlab Bahaar Hai

Us Ne Kaha K SainkRon Gham Zindagi Mein Hain
Main Ne Kaha K Gham Nahi, Jab Gham'gusaar Hai

Us Ne Kaha K Saath Kahan Tak Nibhao Gey?
Main Ne Kaha K Jitni Ye Saanson ka Taar Hai

Us Ne ne Kaha K Mujh Ko Yaqeen Aaye kis Tarah
Main Ne Kaha K Mera Naam Aitbaar Hai

Hum say poochay koi

Yun to lakh guzray hain chehray in nighahon mein
Naqsh hoo gaya chehra Aik bas khayalon mein 

Uss taraf qadam Uthay to mujhay laga aisay
Lamha Lamha guzra hai wo safar Ujaloon mein 

Hum ney aazmanay ko kuch sawal poochay thay
Kis qaddar maharat thii uss k sab jawabon mein 

Hum say poochay koi kis terhan ka hai Sajjan
Hum batain gay woh ik Chaand hai sitaroon mein

 


Kaisey Kaisey Zamaney Aye

Kaisey Kaisey Na Muhabbat Mein Zamaney Aye
Aik Hum They K Naa Hosh Apney Thikaney Aye

Bhool Betha Tha Jisy Shidat.e.Ghum Se Us Ko
Merey Ahbaab Mujhey Yaad Dilaaney Aaye !!

Mutmaeen They K Lagi Dil Ki,Sunayen Gay Hum
Dost Jab Aaye Toh Aapni Hi Sunaaney Aaye !!

HumNe Socha Tha K Chutkara Milay Ga Ghum Se
Dasht-o-Sehra Sey Bhi Kuch Agey Zamaney Aye

Her Taraf Phael Gayi Unn K Badan Ki Khushboo
Raat Chupkay Se Woh Jab Merey Serhany Aaye

Mundmil Honey Lagey Daagh Jo Is Dil K Mager
Zakham Deney Ko Naye Yaar Puraney Aaye !!!

~~Meri Saadgi Mera Jurm Hai~~

Yahan chahaton ka sila nahin
Yahan dosti ka maaza nahin

Yahan janay kaisi hawa chali
Rahi doston mein wafa nahin 

Yahan jal gaya mera aashiyan
Abhi badaloon ko pata nahin 

Teray dar pay dastak dey sakun
Yeh haq toh Tu ne diya nahin 

Main raahi hon rah-e-umeed ka
Mujhay manzilon ka pata nahin 

Bey bus hoon jahaan mein itna
Jaisay mera koi KHUDAA nahin 

Meri Saadgi mera Jurm hai
Koi or toh meri Khaata nahin !!!! 

Kabhi Pariyon Se Dil Lagaya Nahin

Haseen Titliyoon Ko Sataya Nahin Kartey
Kabhi Pariyon Se Dil Lagaya Nahin Kartey


Zulm Kartey Hain Aksar Yehi Husan Waley
In Ko Chahat Ka Naghma Sunaya Nahin Kartey


Torr Detey Hain DiL Ko Sada Yeh Sitam Gar
Aur Waja'e Be-Wafai Bhi Bataya Nahin Kartey


Mehektey Rehty Hain Yeh Dil Ke Chaman Me
Mager Inn Per Haq Bhi Jataya Nahin Kartey


Jaltey Hain Ulfat Ki Rasmoon Mein Lekin
Perwaney Shama Ko Bujhaya Nahin Kartey


Mohabbat Hai Kya Yeh "HUM "Se Pucho
Kabhi Raah-e-Wafa Ko Bhulaya Nahin Karteyhttp

مرزا اسد اللہ خان غالب

hain aur bhi duniya main sukhanwar bahut acchay
(There are other poets in the world that are very good)

kehtay hain ki ghalib kay andaaz-i-bayaan aur
(they say but that the way Ghalib puts it, is something else)

Har ek baat pay kehtay ho tum, ki tu kya hai
(on just about every thing u tell me who u are)

Har ek baat pay kehtay ho tum, ki tu kya hai
(on just about every thing u tell me who u are)

tumhi kaho ki, yeh andaz-i-guftagoo kya hai
(now u only tell wat is this way to talk like this)

tumhi kaho ki, yeh andaz-i-guftagoo kya hai
(now u only tell wat is this way to talk like this



Adhuri Mohabbat


Saath Rooti Thi Mere Saath Hansa Karti Thi
Wo Larki Jo Mere DiL Mei Basa Karti Thi


Meri Chahat Ki Talabgar Thi Is Darja Kay
Wo Musalley Pay Namazon Mei Duaa Karti THi


Ek Lamhey Ka Bicharna Bhi Giran Tha USko
Rootey Huwe Mujhko Khud Se Juda Karti Thi


Mere Dil Mei Raha Karti Thi Dhadkan Ban Kar

Or Saaye Ki Tarha Saath Raha Karti Thi


Rog Dil Ko Laga Bethi Anjaney Mei
Meri Aaghosh Mei Marne Ki Duaa Karti Thi


Baat Qismat Ki Hai Sirf Juda Ho Gaey Hum
Warna Wo Toh Mujhey Taqdeer Kaha Karti Thi



Kuch Es Tarah Se Harey Yaroo

Bazi e Ishq Kuch Es Tarah Se Harey Yaroo
Zakham Per Zakham Lagey Dil Pe Humare Yaroo

Koi To Aisa Ho Jo Ghao Per Marham Rakhey
Yuun To Dushman Na Bunno Sare Ke Sare Yaroo

Bazm Main Ser Ko Jhukaye Huye Jo Bethy Hain
In Ko Mat Cheroo Yeh Hain Ishq Ke Marey Yaroo

Jinn Main Hoty Thy Kabhi Meher O Wafa Ke Moti
In Hi Ankhon Main Sittam Ke Hain Sharary Yaroo

Dost Hi Apny Jo Kerny Lageen Nazr E Tofaan
Kaam Nahi Aaty Phir Koi Saharey Yaroo

Sang Gheroon Ne Jo Marey To Koi Dukha Na Hua
Mer Gaye Tum Ne Mager Phool Jo Marey Yaroo

Wo Jo Raha Dil Geer Tumhari Khaatir
Tum Ne Kya Kya Nahiin Ta'ney Usy Marey Yaroo

koi sune ga to kya kahe ga

Mohabbaton ki ye wardaten koi sune ga to kya kahe ga
Ye bahki bahki hamari baten koi sune ga to kya kahe ga

Raqabaton ki qayamaton se khandaren tabdeel ho rahi hain
Hamari chahat ki kaynaten koi sune ga to kya kahe ga

Tumhare Khat se ye lag raha hai ki rote rote likha hai tumne
Ye ankahi si tumhare baten koi sune ga to kya kahe ga

Tere tasawur ka aana jana mere takhayyul ki wadiyon me
Beghair dhole ki ye baraten koi sune ga to kya kahe ga

Kabhii aah lab pey machal gayi

Kabhii aah lab pey machal gayi kabhii aashk aankh se dhal gaye 
Wo tumhare gham k chiragh hain kabhii bujh gaye kabhi jal gaye

Main khayal-o-khuwab ki mahfilein na baqadr-e-shauq saja saka 
Tumhaarii ik nazar ke saath hii merey sab iraadey badal gaye

Kabhii rang me kabhii roop me kabhii chaaon me kabhii dhop me 
Kahiin aaftaab-e-nazar hain wo kahiin maahtaab mein dhal gaye

Jo fanaa hoye gham-e-ishq me unhein zindagii ka na gham hua 
Jo na apnii aag mein jal sakey woh paraayi aag mein jal gaye 

Hai unhein bhi meri tarah junoon to phir un me mujh me ye farq kya 
Main giraft.e.gham se na bach saka wo hadood.e.gham se nikal gaye

Bari Dair Tak


Mujhey arzoo.e.sehar rahi yunhi raat bhar bari dair tak 
Na bikhar sake na simat sake yunhi raat bhar bari dair tak 


Hai bohat azaab aur akely hum,shab.e.gham bhi meri taweel tar 
Rahi zindagi bhi saraab aur rahi aankh tar bari dair tak 


Yahan her taraf hai ajeb samaan,sabhi khud pasand,sabhi khudnuma 
Dil .e. be-qaraaar ko mila nahin koi chara gar bari dair tak 


Mujhay zindagi hai aziz tar isi wastey meray Humsafar 
Mujhay qatra qatra pila zehar, jo karey asar bari dair tak


Na sakoon.e.jaan na shreek.e.gham mila is jahan mein chaar su 
Teri yaad thi meray saath jo rahi darr ba darr bari dair tak 


Yahan shehar.e.dil bhi udaas hai aur ujaar ujaar si reh guzar 
Rahey teray baad dhuwaan dhuwaan meray baam.o.dar bari dair tak

Qaza ho gaya hoon qaza kerety

Qaza ho gaya hoon qaza kerety kertey
Faqat be wafa se wafa kertey kertey

Tha duniya ke sare faraiz ko bhoola
Mohabbat ka haq main adaa kertey kertey

Muqadder mera ab hai do gazz ka tukda
Faqat dil main uske jagah kertey kertey

Jise zindagi bhar duaoon main maanga
Woh ghar chal pada hai dua kertey kertey

Farishtey bhi na khush they mayyat pe meri
Janaza utha jab khuda kertey kertey

Mere mout se tum sabaq kuch to seekho 
Waqt kut na jaye dawaa kertey kertey

Wahi zindagi hai wahi bandagi hai
Katey jo khuda ki raza kertey kertey

Yaad aaon tu bas itni si

Yaad aaon tu bas itni si inaayat karna
Apnay badlay hoye lehjay ki wazahat karna

Tum tu chahat ka shah’kaar hua kartay the
Kis se seekha hai yeh ulfat may milawat karna


Hum sazaao’n k haq’daar banay hain kab se
Tum hi keh do k jurm hai kya muhabbat karna

Tairi furqat may yeh aankhain abhi tak nam hain
Kabhi aana mairay aaskho’n ki ziyarat karna


Dil may ab bhi muhabat k diye hain raushan
Dekh bhoolay nahi tairi hasti ki ebadat karna

Taaron Ko Muhbat Amber Say


Taaron Ko Muhbat Amber Say
Phoolon Ko Muhbat Shabnam Say
jaisay Dil Ko Muhbat Dilbar Say
Humen Aesi Muhbat Hai Tum Say
Ankhon Ko Muhbat Kajal Say
Sawan Ko Muhbat Badal Say
Pairon Ko Muhbat Pa'yel Say
Humen Aesi Muhbat Hai Tum Say
Hathon Ko Muhbat Kungan Say
Mehndi Ko Muhbat Dulhan Say
Sanson Ko Muhbat Dharkan Say
Humen Aesi Muhbat Hai Tum Say
Ankhon Ko Muhbat Khuwabon Say
Khuwabon Ko Muhbat Raaton Say
Raaton Ko Muhbat Yadon Say
Humen Aesi Muhbat Hai Tum Say

Zikar Uska meri Kahani main

Zikar Uska meri Kahani main
Chaand ka aks jaise pani main

Wo to khamosh hi rahe or hum
Jane kya keh gaye rawani main

Apni ankhian gawai hain hum ne
Apne khuwabon ki pasbani main

Itni muddat ka sath choot gaya
Ik chhoti si badgumani main

Zikar Uska meri Kahani main
Chand ka aks Jaise Pani main

Woh Shakhs Pyara Hai Usey Kahna

Woh Shakhs Pyara Hai Usey Kahna,
Woh Jeeney Ka Sahara Hai Usey Kahna,

Log Pyare Hien Buhat Se Mujh Ko,
Woh Sab Se Pyara Hai Usey Kahna,

Mohabbtein'Shikaytein'Adawtein Us Ki,
Mujhe Sab Gawara Hein Usey Kahna,

Chaahny Waale Aur Bhi Hein Lekin,
Ye Dil Sirf Tumhara Hai Usey Kahna...

Kahi Chaand Rahoon Main Kho Gia



Kahi Chaand Rahoon Main Kho Gia, Kahi Chaandni Bhi Bhatak Gaii
Main Charag Wo Bhi Bhuja Howa, Meri Raat Kesay Chamak Gaii

Meri Dastaan Ka Urooj Tha Teri Narm Palkoon Ke Chaoon Main
Meray Saath Tha Tujhay Jagana, Teri Aankh Kesay Jhapak Gaii

Kabhi Ham Milay Tu Bhi Kiya Milay Wahi Doriyaan Wahi Faaslay
Na Kabhi Hamaray Qadam Barhay, Na Kabhi Tumhari Jhijhak Gaii

Tujhay Bhool Janay Ke Koshishain Kabhi Kamyaab Na Ho Sake
Teri Yaad Shaakh -e- Gulaab Hain Jo Hawa Chali Tu Lachak Gaii