Bari Dair Tak


Mujhey arzoo.e.sehar rahi yunhi raat bhar bari dair tak 
Na bikhar sake na simat sake yunhi raat bhar bari dair tak 


Hai bohat azaab aur akely hum,shab.e.gham bhi meri taweel tar 
Rahi zindagi bhi saraab aur rahi aankh tar bari dair tak 


Yahan her taraf hai ajeb samaan,sabhi khud pasand,sabhi khudnuma 
Dil .e. be-qaraaar ko mila nahin koi chara gar bari dair tak 


Mujhay zindagi hai aziz tar isi wastey meray Humsafar 
Mujhay qatra qatra pila zehar, jo karey asar bari dair tak


Na sakoon.e.jaan na shreek.e.gham mila is jahan mein chaar su 
Teri yaad thi meray saath jo rahi darr ba darr bari dair tak 


Yahan shehar.e.dil bhi udaas hai aur ujaar ujaar si reh guzar 
Rahey teray baad dhuwaan dhuwaan meray baam.o.dar bari dair tak

No comments:

Post a Comment