Kabhii aah lab pey machal gayi

Kabhii aah lab pey machal gayi kabhii aashk aankh se dhal gaye 
Wo tumhare gham k chiragh hain kabhii bujh gaye kabhi jal gaye

Main khayal-o-khuwab ki mahfilein na baqadr-e-shauq saja saka 
Tumhaarii ik nazar ke saath hii merey sab iraadey badal gaye

Kabhii rang me kabhii roop me kabhii chaaon me kabhii dhop me 
Kahiin aaftaab-e-nazar hain wo kahiin maahtaab mein dhal gaye

Jo fanaa hoye gham-e-ishq me unhein zindagii ka na gham hua 
Jo na apnii aag mein jal sakey woh paraayi aag mein jal gaye 

Hai unhein bhi meri tarah junoon to phir un me mujh me ye farq kya 
Main giraft.e.gham se na bach saka wo hadood.e.gham se nikal gaye

No comments:

Post a Comment